Sunday, March 9, 2008

चाँद पनघट पर चला है


Chand panghat par chala hai,
Chandani se chupchap milane,
Chandani bekhauf ban ker ,
Chand par ithala rahee hai.

Pad rahin hain nanhe bonde,
Yun kamar ke is uchak se;
Jhunjhunaten hain ye jhingur,
Payali ka sur shamete ;

Thandhi Thandhi ye pavan bhi
Mast maula ye gagan bhi ,
Geet koi ga raha hai
Chandanee ki rag ban ker;

Ped pnchhe Sant hain sab
Shrota Banker Aj iihan par;
Hain Dibik Dib baj uthate
Mndoke panghat Saj ban ker;

Rat ranee Khil uthe hai
Apnee ujali vesh mein
Mano gajara bandh di ho
Chandanee ki kesh mein ;

Mand Madak gandh faile,
Ish ghata ghanghor mein;
Chand bandhak ban chuka hai
Chandanee ki dor mein .





No comments: