Sunday, March 23, 2008

खुदा हाफिज

na jane kaun se manjil mujhe her bar milti hai,
meree ye lekhani charcha yahi her bar likhti hai;

mila milker bhi mil na shake milane ke liye,
humee her bar likhten hain khuda hafij-2;


vahi hai hoti manjil, vahi rasta hai hota ;
humin hoten hai musafir, vahi dasta hota;

likhi jati hai her bar apni dastane manjil,
sooni pad hi jati hai hamari her nayee mahafil;

ab to lugta hai nayee mahfil ka koi jikra hi na ho,
na hogi koi dastan aur koi fikra bhi na ho;


hume milne milane ka koi shauk hi na ho;
ab kishi aur she bichhadne ka koi khauf hi na ho;

Sunday, March 9, 2008

चाँद पनघट पर चला है


Chand panghat par chala hai,
Chandani se chupchap milane,
Chandani bekhauf ban ker ,
Chand par ithala rahee hai.

Pad rahin hain nanhe bonde,
Yun kamar ke is uchak se;
Jhunjhunaten hain ye jhingur,
Payali ka sur shamete ;

Thandhi Thandhi ye pavan bhi
Mast maula ye gagan bhi ,
Geet koi ga raha hai
Chandanee ki rag ban ker;

Ped pnchhe Sant hain sab
Shrota Banker Aj iihan par;
Hain Dibik Dib baj uthate
Mndoke panghat Saj ban ker;

Rat ranee Khil uthe hai
Apnee ujali vesh mein
Mano gajara bandh di ho
Chandanee ki kesh mein ;

Mand Madak gandh faile,
Ish ghata ghanghor mein;
Chand bandhak ban chuka hai
Chandanee ki dor mein .





क्यारी की आत्म कथा


subah savere dhale hain ghanere,
Diwaker Uda le gayen hain andhere;
kise khobsorat bageeche men ja ker,
kise khobsurat kyari mein dekho.

Shaghan hare patton mein,
kucha lalima hai ;
peeli gulabi ,
Shunahree shama hai .


Khili hai kali ,
Is khadee dopahar mein
Tapi hai ye suraj ki
Ghanee aag mein .

Tabhi to lubhon par subah muskurati,
Huye sam jub to hai sukh jati !
Par kya agale din soonee hai kyari ?
Nayee fir khili hai kali aj pyaree .