Monday, December 17, 2007

Kalee Kee Atm Katha

Kalee koi Man mein jo Unhi khili thi,
Mujhe raste mein mahkte mili thi,
Kuchh pal mere sangh sangh vo chali thi,
Samajhta hun main par vah manchali thi.

Uski mahak har kisi ko khalee thi
Jo bhi ho par voh fir bhi kalee thi,
Rajani ki chandani mein vah pali thi,
Suraj ki dhoop mein vah jali thi.

Mager aj kya pavan mil gaya ?
Uski sugandh ko kahan le gaya ?
Mujhe aj yeh Bat kyon Khal gaya ?
Kya Use Tood Ker Koi le Gaya ?

Thursday, December 13, 2007

Man Ki Abhilasha

Bekhuf suhana manjar hai,
Khamouse Bahar ander hai.

Khamaush khamose chubhati hai,
Man mein Peeda jub rahti hai |
Man hee Man Mein Vah kahti hai,
Rag Lahoo sang vah bahti hai.

Man Madak mand sugandh sahee,
Par Man!,Man hee ko harta hai |
Man panchhee ke par,par hee sahi,
Par Unchee Udan to bharta hai.

Man badal hai,Man panchhee hai,
Man rag,rang aur bansee hai |
Man aaj bhi hai,Man kal bhi sahee,
Par man ki peeda,Man mein hi rahee.

Man dvesh bhi hai,Man rag bhi hai,
Man vyakul peeda,vairag bhi hai|
Man sangh krida jo karta hai,
Man hi man ka voh rahta hai.

Man sanyam hai, sankoch bhi hai,
Man Lujja hai,Khamosh bhi hai |
Man hi man ke ger vash mein rahe,
Man sadhana hai,Man soch bhi hai.